Wednesday, March 25, 2009

aaNkhoN kaa rang, baat kaa lahjaa badal gayaa

aaNkhoN kaa rang, baat kaa lahjaa badal gayaavo shaKhs ek shaam meN kitnaa badal gayaa !
kuch din to meraa aks rahaa aaiine pe naqshphir yuN hu’aa ke Khud meraa chehraa badal gayaa
jab apne apne haal pe ham tum na rah saketo kyaa hu’aa jo hamse zamaanaa badal gayaa
qadmoN tale jo ret bichii thii vo chal paRiius ne chuRaayaa haath to sehraa badal gayaa
ko’ii bhii chiiz apnii jagah par nahiiN rahiijaate hi ek shaKhs ke, kyaa kyaa badal gayaa !
ek sar-khushii kii mauj ne kaisaa kiyaa kamaalvo be-niyaaz, saare kaa saaraa badal gayaa
uThTh kar chalaa gayaa ko’ii vaqfe ke darmiyaaNpardaa uThThaa to saaraa tamaashaa badal gayaa
hairat se saare lafz use dekhte rahebaatoN meN apnii baat ko kaisaa badal gayaa
kahne ko ek seh’n meN diivaar hii baniighar kii fizaa, makaaN kaa naqshaa badal gayaa
shaayed vafaa ke khel se uktaa gayaa thaa vomanzil ke paas aa ke jo rastaa badal gayaa
qaayem kisii bhii haal pe duniyaa nahiiN rahiitaa’biir kho gayii, kabhii sapnaa badal gayaa
manzar kaa rang asl meN saayaa thaa rang kaajis ne use jidhar se bhii dekhaa badal gayaa
andar ke mausamoN kii Khabar us kii ho gayiius nau-bahaar-e-naaz kaa chehraa badal gayaa
aaNkhoN meN jitne ashq the jugnuu se ban gayevo muskuraayaa aur merii duniyaa badal gayaa
apnii galii meN apnaa hii ghar dhhuNdhtee haiN log“Amjad” ye kaun shah’r kaa naqshaa badal gayaa

No comments: