Friday, August 7, 2009

ek Barish ki Boond aur ek bhoola hua khawab

Maien en barish ke bundo ko dekhti hun jo aasman se tapak ke jameen pe tut jate hai, Aur fir mai khawabo ko dekhti hun, jo band aankho me pal jate hai . aur fir haqeeqat ko dekhti hun, ki wo bund jo aasman se tapka kabka mitti me ja chuka, aur nind khulne pe wo khawab bhi yaad na the.

Fir sochti hun, har jarrare ke kismat me hoti hai uska mit jana, han ye munsaib hai ki tareeka alag ho mitne ka.

Kyunki ek bund jo mitti me mil jati hai kabhi chaman me gir ke moti se ban jati hai.

aur fasane bhare pade hai haqiqat ke es duniya me jo sirf kabhi khawab the .